Saturday, January 26, 2013

Ek Udaan

Khushiyon ki hoti hai dhoop
Par chubhti kyun hai yeh dhoop 

Dil mein hai roshni tere ya hai andhera
Naav ka hai sahil ka sapna ya sagar mein kaid rehne ki ikccha

Udd jaana chahta hai tu aur phirana chahta hai jeet ka rang 
Ya seenchna chahta hai udaasi ki kaid mein apna jeevan.

Ek udaan hi sapnon ko zindagi degi

Yeh Chehre

In chehron mein hai har chera jana pehchana,
kisi ka din shuru hua hai apni maa ke hath ki aarti se
kisika apne abba ki namaaz ki dua se,


Hum sab ek doosre ko jaante hain,
par hum pehchane se inkaar kar dete hain,
hum apne issi jeene ke tareeke ko jeena keh jaate hain.
Apne kanjoos mohabbat ki numaish ko saleeka keh jaate hain.

Hum sab ne behtar zindagi ki talash mein diwarein phaani hai,
Jawani ki shaam se pehle bachpan ki dhoop mein patang ko udaya hai,
Par ab hum kisi ki masoom khushi ki kanni kaat rahe hain.